Tuesday, May 27, 2014

Self-Composed Urdu Couplets



Phir un sunsaan si galiyon mein nikal padey us gumshuda se khwaab ki talaash mein;
Naam pata hai na rasta us khwaab ka, bas dhundlati hui kuch tasvirein hain ankhon mein

Qadmon ke kuch hain nishan zameen par aur kuchh armaan basey hain seeney mein;
Jaane kab poora hoga ye safar bas nikal pade hain us gumshuda se khwaab ki talaash mein

April 2012
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------
yahan har bashar ka kuch mukhtalif sa falsafa-e-zindagi hai
koi jadon ki gehrai chahta hai to koi udaan ki soch rakhta hai

koi chahta hai banana sang-e-murmur ke kasheeda makaan
to koi umr khanabadoshi mein guzaarne ka khayal rakhta hai

koi teer kamaan se ja nikal kahin duur maqaam banata hai
koi tarkash ko aabad rakhne ka wohi purana mizaaj rakhta hai

koi kehta hai badalti fiza mein aa gaya waqt unwaan badalne ka
koi dhun phir wohi dohraane ke iraade mazboot rakhta hai

koi kehta hai ki tez hawaaon mein jhuk jana hai munasib
koi toot janey ke anjaam ko he dil ke qareeb rakhta hai

mukhtalif hon jaayen raaste kitne bhi ye jaan lo Qais
Har raasta aakhir mein bas ek he muqaam ka pata rakhta hai

26-May-2014

1 Comments:

At October 28, 2014 2:47 AM, Anonymous Anonymous said...

very nice

 

Post a Comment

<< Home