Phir un
sunsaan si galiyon mein nikal padey us gumshuda se khwaab ki talaash mein;
Naam pata hai na rasta us khwaab ka, bas dhundlati hui kuch tasvirein hain
ankhon mein
Qadmon ke kuch hain nishan zameen par aur kuchh armaan basey hain seeney mein;
Jaane kab poora hoga ye safar bas nikal pade hain us gumshuda se khwaab ki
talaash mein
April
2012
-----------------------------------------------------------------------------------------------------------------
yahan
har bashar ka kuch mukhtalif sa falsafa-e-zindagi hai
koi
jadon ki gehrai chahta hai to koi udaan ki soch rakhta hai
koi chahta hai banana sang-e-murmur ke
kasheeda makaan
to koi umr khanabadoshi mein guzaarne ka
khayal rakhta hai
koi teer kamaan se ja nikal kahin duur
maqaam banata hai
koi tarkash ko aabad rakhne ka wohi purana
mizaaj rakhta hai
koi kehta hai badalti fiza mein aa gaya
waqt unwaan badalne ka
koi dhun phir wohi dohraane ke iraade
mazboot rakhta hai
koi kehta hai ki tez hawaaon mein jhuk jana
hai munasib
koi toot janey ke anjaam ko he dil ke
qareeb rakhta hai
mukhtalif hon jaayen raaste kitne bhi ye
jaan lo Qais
Har raasta aakhir mein bas ek he muqaam ka
pata rakhta hai
26-May-2014